Tuesday, 26 January 2021

Makhdoom ko ham Jalwanuma dekh Rahe hai lyrics

Manqabat e Makhdoom

Makhdoom ko ham Jalwanuma dekh Rahe 

Makhdoom ko ham Jalwanuma dekh Rahe hai
Ay Salle Ala Shane Khuda Dekh Rahe hai

Shafqat to Zara dekhiye paker Muje Gamgin
Farmate hai ham haal tera dekh Rahe hai

Jo Aata hai woh pata hai munh mangi murade
Ham Apki Ye Shan e Ata Dekh Rahe hai

Dekhe Woh Jise Mehar ki bhati ho tajalli
Ham Apka Naqshe kafa pa dekh Rahe hai

Kya loot te hai Gulshane Jannat ki bahare
Kis shok se ham roza tera dekh Rahe hai

Dil mai hai basi surat e Makhdoom Sikander
Har waqt Unhe Jalwanuma dekh Rahe hai

Gulshan ho gali teri ke firdose bari ho
Dikhlata hai jo hamko khuda dekh Rahe hai

Ham mehwe tajalli hai Abhi surat e Musa
Jahir nhi kar sakte ke kya dekh Rahe hai

Bigdi hue taqdeer tere Dar pe hai Sudhri
Ham apna Har ek kaam bana dekh Rahe hai

Mehboob se mehboob gali hai teri Moula
Dilchasp se Dilchasp fiza dekh Rahe hai

Sirat mei teri paate hai ham khulq nabi ka
Surat mai teri Noor e khuda dekh Rahe hai

Har Ahle Wilayat ki Ada khub hai lekin
Andaz tera sab se Juda dekh Rahe hai

Tu woh Shahenshah ke ummedon karam mai
Mooh ko tere Arbab e Sakha dekh Rahe hai

Har haal mai us yaar ka naqsha hai nazar mai
Kya puchhte ho doston kya dekh Rahe hai

Darbar mai shahenshah e Mangrol ke 'Sultan'
Ham Shane karam ban ke Gada dekh Rahe hai 


Naat ‎Sharif ‎